Monday, February 25, 2008

Santoshi Maa Lyrics for Pooja Aarti Lyrics

Yahan wahan jahan tahan, mat poocho kahan kahan,
hai Santoshi Maa, apni Santoshi Maa.
jal mein bhi, thal mein bhi, chal mein bhi, aachal mein bhi,
atal vital mein bhi Maa, apni Santoshi Maa.

Badi anokhi chamatkarni, yeh apni Mai,
rahi ko parvat kar sakti hai, parvat ko rahi,
dwar khula hai, darbar khula hai, aao behen bhai,
iske dar par kabhi daya ki kami nahi aayi
[Chorus] Suno re bhai, kabhi kami nahi aayi,
Pal me nihal kare, dukh ka nikal kare, turth kamal kare Maa...
apni Santoshi Maa

Is Amba mein, Jagdamba mein, gazab ki hai shakti,
chinta mein doobe hue logo, kar lo iski bhakti.
apna jeevan saup do isko, paa lo re mukti
sukh sampati ki daata, yeh Maa kya nahi kar sakti
beegdi banane wali, dukhde mithane wali, kasth hatane wali Maa...
apni Santoshi Maa.

Girjasooth Ganpati ki beti, yeh hai badi bholi,
dekh dekh kar iska mukda, har ek disha doli,
aao re bhakto yeh Maata hai, sab ki humjoli,
jo maagoge tumhe milega, bhar lo re jholi
[Chorus] Suno re bhai, bhar lo re jholi
Ujwal ujwal nirmal nirmal sundar sundar Maa...
apni Santoshi Maa

No comments: